Custom Search

3:20 PM

(0) Comments

CHIRAG

Voh Bujhe Gharon Ka Chirag Tha, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho
Use Le Gayi Hai Kahan Hawa, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho

Kayin Log Jaan Se Jayenge Mere Kaatilon Ki Talash Mein
Mere Katal Mein Mera Haath Tha, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho

Vo Tamaam Duniya Ke Vaste Jo Mohabbaton Ki Mishal Tha
Vohi Apne Ghar Mein Tha Bewafa, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho

Kahin Masjidon Mein Sahadatein, Kahin Mandiron Mein Adalatein
Yahan Kaun Karta Hai Faisla, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho

Mere Pass Jitni Hai Roshani, Yahi Chirag Ki Zindagi
Main Kahan Jla, Main Kahan Bujha, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho

Mujhe Jaankar Koi Ajnabi, Voh Dikha Rahe Hai Gali Gali
Isi Shahar Mein Mera Ghar Bhi Tha, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho

Voh Samajh Ke Dhoop Ke Devta Mujhe Aaj Poojate Aayeinge
Main Chirag Hoon Teri Sham Ka, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho
0 Responses to "CHIRAG"

Post a Comment

Pakko Gujarati